Friday, August 23, 2013

Kya Kudarat Naraj hai, ya ye manavi karishma hai? (hindi poem)


Kya Kudarat Naraj hai, ya ye manavi karishma hai? (hindi poem)

America mey bahut saare tufan aa rahe hai,
Bharat mey kedarnath mey tabahi hui hai,
China mey nadiya oophan par hai || 1||


Kya Kudarat Naraj hai, ya ye manavi karishma hai?

Bharat, Philipines, Indonesia mey kheti key liye Jungle todey ja rahe hai,
Italy, Indonesia, Iceland mey Jwalamukhi phat rahey hai,
Bharat, America, Indonesia mey achanak jungle mey aag lag rahi hai|| 2||


Kya Kudarat Naraj hai, ya ye manavi karishma hai?

Chori, Dakaiti jaisi cheeje badh rahi hai,
Aatankwad, Yudhdha, Raktaranjit krantiya badh rahi hai,
Logong ka apne aap parse Vishwas samaapt ho raha hai|| 3||


Kya Kudarat Naraj hai, yaa ye manavi karishma hai?

Kya ham keval swarth mey dube rahana chahtey hai?
Kya ham sarvochcha yoni hokar bhi kucch karana nahi chahtey?
Kya ham sab kuchch kudarat par chhod denge aur kewal sanwad karengey,
"Kay Kudarat Naraj Hai, Ya Ye Manavi Karishma Hai?" || 4||

Chalo apney aapse shubharambha kartye hai,
Apeny samaj, rashtra sey shuru karatey hai,
Aur apni is sanjhi hui duniya ko phirse achcha karatey hai,
Jisase Kudarat bhi sahajatasey aur Manav bhi khushhali sey rah sake, sadiyon key liye, sadiyon key liey, sadiyon key liye. || 5 ||

+++++++++++++++++++++++++++++++
This was the original poem before, "Is it human creation or nature is angry on us?"

poet:
Dr. Ashish Manohar Urkude,
ashish.urkude@gmail.com

No comments: